Sunday, October 4, 2015

"Being Intelligent" par kuch

Hai dimaag
Toh chala na bhai
Kyun chal rahe ho
Kissi aur ke ishaaron par...

Agar tum hoshiyaar ho, apni hoshiyaari sahi jagah lagao. Kissi ke liye kaam karte, adarshon ka samman karte karte bass ek adarsh naukar banoge; amir bhi bann jao, par utne nahi jiss ke kaabil tum ho. Dekho, amir hona koi buri baat nahi hai, aur acchi baat bhi nahi hai, par poora din office mein lage rehkar, dimaag aur sehat bigaadna, aur gharwaalon aur samaj ka jyaada kuch bhala na kar paana acchi baat nahi. Usske liye upar wale ne tumhe hoshiyaar banaaya, aur tumne us mein se kaafi hoshiyaari ko ek 0% interest account mein rakh liya ho, toh kissi ko uss se faayda nahi hone waala. Aaj hi uss account mein se thoda bohot sona nikal lo aur socho ke kya kar sakte ho. Naukri ke saath saath, khel khel mein haath aajmaao. Jald hi naukri ki zaroorat nahi hai, yeh samaj mein aa jaega.

Aasha hai meri, mere bhi aise din jald aaenge.

No comments:

Post a Comment