Thursday, October 15, 2015

"On becoming mature" par kuch

Dekhe aise kaein
Jo pakk chuke hain
Par kya woh mature hain
Sochna padega...

Kabhi do saal pehle kari hui doston ke saath chat ka transcript padtha hu to lagta hai - kaun aise baat karta hai, kya fuddu pana hai baaton mein. Aajkal kaafi acchi tarah baatein kar leta hu main. Do saal baad, abhi ka tareeka shayad fuddu lagne lage. Par ek chiz acchi hai - khud ko mehsoos ho raha hai ke hum sudhar rahe hain, mature ho rahe hain.

Waise mature hona kisse kehte hain? Phalon ki baat karein toh poori tarah mature hone par yaani pakne par, woh khaane yogya hote hain, par kya aisa kuch hum insaanon ke liye bhi hoga - poori tarah mature hona? Socho toh lagta hai ke poori tarah mature hona matlab kahani ka the end.

Issliye shayad kehte hain ke bachpana hona chahiye insaan mein, majaak masti se javaani barkaraar rehti hai...:)


Note - Agar yeh article fuddu lage toh bhai sachmein, tum mature ho chuke ho...:P

No comments:

Post a Comment